Markaz-E-Ahle Sunnat Ka Pegham Qaum-E-Muslim Ke Naam (1443)

hāmidaw-wa musallīyan wa musalliman

Musalman bhaiyon! Hum jis daur mein jee rahey hain woh fitnah o fasaad aur be raah rawi ka daur hey. Har taraf se deen o sunniyat par hamley ho rahey hain. Dushmanaan-e-islam hamari nasal ke imaan o aqeedey aur izzat o aabru ko barbaad karne mein lagey hain jin ki zid mein khaas kar islam ki woh bholi bhaali bachiyan aa rahi hain jo asari idaaron, schoolon aur collegeon mein parhti ya parhaati hain ya phir sarkaari aur private sektaron mein nokari karti hain aur deeni taleem aur islami tahzeeb o culture se nawaqif hain. Aur yeh sab kuch “azadi niswan” ke naam par ho raha hai jis ke aitibaar se larkiyon ka be pardah nikalna, ghair mehram ke saath ikhtilaat, hatta ke ghair muslimon se baat cheet karna meyl jol rakhna koi aib nahi hai. Jis ka bura anjaam yeh hota hai ke muslim bachiyan imaan o kufr ka farq kiye baghair bohot saaray moqaon par ghair muslimon ke sath shaadiyan racha leti aur un ke sath hi zindagi guzaarne ka faisla karleti hain al-iyaadhu billah jo har tarha khasaara hi khasaara hai. Aur uski wajah se ghar, khaandaan, aur poori qaum ko sharmindah hona parta hai. Is gunah mein awlaad ke sath ghar walay bhi baraabar ke zimme daar hain chunkay hadith-e-paak ke mutaabiq har shakhs apne maa tehet logon ka zimma daar hai kotahi baratnay ki soorat mein. Kal ba roz qiyaamat is se sawaal hoga. Aurtain naazuk sheeshah ki tarha hain. Un ko sudhaarna aur islami maahol mein dhaalna baron ki zimma daari hai.

Un kharaabiyon ko door karne ki chand tadbeerein hain jin ko barooay-e-kaar lakar aik paakeezah muaashrah tayyaar kiya jaa sakta hai. 

  1. Bachpan hi se bachay aur bachiyon ko dunyawi taleem ke sath deeni taleem bhi zaroor di jaaye jiski soorat yeh hai ke mahallay aur basti mein maujood masjid o maktab ke asaatizah se mazhabi taleem o tarteeb dilwaai jaye .
  2. Maan baap khud bhi naik aamaal karen aur apni zindagi islami mahol mein guzaarain aur bachon ko bhi isi maahol mein parwaan charhaayen chunkay bachay shaoori o ghair shaoori taur par maan baap ki baat se ziyaadah un ke kirdaar ko letey hain .
  3. Maan baap khud bhi gaahay bagaahay bachon ke zehen o fikar ka jaaiza letay rahen ke kahin school ke maahol ne un ki fikar ko kharaab to nahi kar diyaa hai aur mobile ke be jaa istemaal se bachon ko door rakhen.
  4. Un ke akhlaaq o aadaat, rehen sehen aur hum joliyon par bhi nazar rakhen ke insaan maahol ki pedawaar hai. Jaisa maahol paata hai waisa hi karta hai .
  5. Maan baap bachon par had darjah bharosa nah karen balkay khud bhi aqal se kaam len chunkay shaytan har lamha behkaanay mein lagaa hai hadith-e-paak mein hai: “shaytan insaan ke jism mein aisay hi dorta hai jaisay khoon ragon mein dora karta hai.”
  6. Shaadiyon ko aasaan banaayen. Chunaanchey hadith-e-paak mein hai: “behtareen shaadi woh hai jis mein kam se kam kharch ho. “
  7. Awlaad ke baaligh honay par un ki shaadiyon mein jaldi ki jaaye chunkay hadith-e-paak mein hai: “teen cheezon mein deyr nah karo, namaz mein, janaaze mein aur munaasib rishta milnay par bachi ki shaadi karne mein.”
  8. Bhalaai ka hukm dena aur buraai se rokna is ummat ka khaas wasf h. Lihaaza maan baap ke sath mil kar mahallay, paros, qabeeley aur basti ke baa asar log kufr ke changul mein phansi huwi bachiyon ko raah-e-raast par laane ki bhar poor koshishen karen ke kisi aik ko raah-e-raast par laana surkh oont zibah karne se behtar hai.
  9. Masaajid o makaatib aur madaaris ke aimmah o asaatizah apni apni zimma daariyan mehez duty samajh kar nah karen balkay khuloos lillaahiyat ke sath khidmat-e-deen-e-mateen samajh kar karen chunkay aap ko Allah paak ne deen ki khidmat ke liye chunn liya hai isi liye aap ko ilm deen ki doulat ataa farmaai hai.
  10. Aimmah, asaatizah, khutabaa aur waaizeen haalaat-e-zamaana aur waqt ki zaroorat ke mutaabiq bilaa kisi khauf o khatar ke amali iqdaamaat karen aur muaashray ki kharaabiyon ko door karne mein bhar poor koshaan rahen aur un umoor ko anjaam dainay mein markaz ahl-e-sunnat bareilly shareef ki rahnumaai bhi letay rahen.
  11. Masaajid o makaatib aur madaaris ke araakeen o zimme daaraan deeni kaamon mein imaamon aur mazhabi peshwaaon ka bhar poor taawun karen.
  12. Masjidon ke zimme daaraan imaamon ko bad mazhab ka nikah o janaaza parhwaane par majboor nah karen aur naahi radd-e-badmazhabaan karne se rokain ke dushmanaan-e-deen aur gustaakhaan-e-rasool sala-llahu alayhi wasallam se adaawat rakhna taqaazaye hub-e-nabwi aur imaan ka hissa hai.
  13. Masaajid o makaatib aur madaaris ke liye aisay hi aimmah o asaatizah muntakhab kiye jayen jo mazhab-e-haq ahl-e-sunnat maslak-e-aala hazrat ke sachey pakkay tarjumaan aur paasbaan hon. Neez un paakeeza maqaamaat ke zimme daaraan bhi mazhab o maslak ka dard rakhnay walay hone chaahiyen taakay woh deeni kamon mein mafaad parasti aur be jaa maslehat pasandi ka shikaar nah hon .

Faqeer Muhammad Asjad Raza Khan Qadiri Barelvi 

(ghufira lahu)